Dil e bedaar Farooqi , dil e bedaar qarari, Allama Iqbal - Bal e Jibreel

Dil e bedaar Farooqi , dil e bedaar qarari

Allama Iqbal Poetry

In Urdu


دل بیدار فاروقی، دل بیدار کراری
مس آدم کے حق میں کیمیا ہے دل کی بیداری

دل بیدار پیدا کر کہ دل خوابیدہ ہے جب تک
نہ تیری ضرب ہے کاری، نہ میری ضرب ہے کاری

مشام تیز سے ملتا ہے صحرا میں نشاں اس کا
ظن و تخمیں سے ہاتھ آتا نہیں آہوئے تاتاری

اس اندیشے سے ضبط آہ میں کرتا رہوں کب تک
کہ مغ زادے نہ لے جائیں تری قسمت کی چنگاری

خداوندا یہ تیرے سادہ دل بندے کدھر جائیں
کہ درویشی بھی عیاری ہے، سلطانی بھی عیاری

مجھے تہذیب حاضر نے عطا کی ہے وہ آزادی
کہ ظاہر میں تو آزادی ہے، باطن میں گرفتاری

تو اے مولائے یثرب! آپ میری چارہ سازی کر
مری دانش ہے افرنگی، مرا ایماں ہے زناری

                (Bal e Jibreel, Allama Iqbal)                        

In English Alphabets

Dil e bedaar Farooqi , dil e bedaar qarari
Miis e aadam ke haq mein chemiya hai dil ki baydaari

Dil bedaar peda kar ke dil khowabida hai jab tak
Nah teri zarb hai kaari, nah meri zarb hai kaari

Masham e taiz se milta hai sehraa mein nishaa is ka
Zan o takhmeen se haath aata nahi ahoo e tatari

Is andaishay se zabt aah mein karta rahon kab tak
Ke magh zade nah le jayen tri qismat ki chingari

Khudawanda yeh tairay saada dil bande kidhar jayen
Ke darwaishi bhi ayyari hai, sultaani bhi ayyari

Mujhe tahazeeb haazir ne ataa ki hai woh azadi
Ke zahir mein to azadi hai, batin mein giraftari

To ae molaye Yasrab ! aap meri charah saazi kar
Meri Danish hai Afrangi mra ayman hai zunnari

Post a Comment

0 Comments