Tu abhi rehguzar mein hai Qaied e maqam se guzar
In Urdu
لندن میں لکھے گئے
(Written in London)
تو ابھی رہگزر میں ہے قیدِمقام سے گزر
مصر و حجاز سے گزر پارس و شام سے گزر
جس کا عمل ہے بے غرض اس کی جزا کچھ اور ہے
حور و خیام سے گزر بادہ و جام سے گزر
گرچہ ہے دل کشا بہت حسن فرنگ کی بہار
طائرک بلند بام دانہ و دام سے گزر
کوہ شگاف تیری ضرب تجھ سے کشاد شرق و غرب
تیغ ہلال کی طرح عیش نیام سے گزر
تیرا امام بے حضور تیری نماز بے سرور
ایسی نماز سے گزر ایسے امام سے گزر
(Bal e Jibreel, Allama Iqbal)
In English Alphabets
tu abhi rehguzar mein hai Qaied e maqam se guzar
Misar o Hijaz se guzar Paras o shaam se guzar
jis ka amal hai be gharz is ki jaza kuch aur hai
hoor o Khayam se guzar baadah o jaam se guzar
gar cha hai dil kusha bohat husn farang ki bahhar
Tairak buland baam dana o daam se guzar
koh shagaaf teri zarb tujh se kushada Sharq o garbh
tegh Halal ki terhan aish nayam se guzar
tera imam be huzoor teri namaz be suroor
aisi namaz se guzar aisay imam se guzar

0 Comments