Woh harf-e raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoo, Allama Iqbal - Bal e Jibreel

Woh harf-e raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoo

Allama Iqbal Poetry

In Urdu

وہ حرفِ راز کہ مجھ کو سکھا گیا ہے جنوں 

خدا مجھے نفس جبرئیل دے تو کہوں


ستارہ کیا مری تقدیر کی خبر دے گا 

وہ خود فراخی افلاک میں ہے خوار و زبوں


حیات کیا ہے، خیال و نظر کی مجذوبی 

خودی کی موت ہے اندیشہ ہائے گونا گوں


عجب مزا ہے، مجھے لذت خودی دے کر 

وہ چاہتے ہیں کہ میں اپنے آپ میں نہ رہوں


ضمیر پاک و نگاہ بلند و مستی شوق 

نہ مال و دولت قاروں، نہ فکر افلاطوں


سبق ملا ہے یہ معراج مصطفی سے مجھے 

کہ عالم بشریت کی زد میں ہے گردوں


یہ کائنات ابھی ناتمام ہے شاید 

کہ آرہی ہے دما دم صدائے 'کن فیکوں'


علاج آتش رومی کے سوز میں ہے ترا 

تری خرد پہ ہے غالب فرنگیوں کا فسوں


اسی کے فیض سے میری نگاہ ہے روشن 

اسی کے فیض سے میرے سبو میں ہے جیحوں

(Bal e Jibreel, Allama Iqbal)                                                                                        


Words Meaning

جیحوں: ایک مشہور دریا کا نام۔

In English Alphabets


Woh harf-e raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoo
Khuda mujhe nafs jibrael day to kahoon

Sitara kya meri taqdeer ki khabar day ga
Woh khud farakhi e aflaaq mein hai khawar o Zaboon

Hayaat kya hai, khayaal o nazar ki Majzoobi
Khudi ki mout hai andesha haae gona gon

Ajab maza hai, mujhe lazzat e khudi day kar
Woh chahtay hain ke mein apne aap mein nah rahon

Zameer pak o nigah buland o masti shoq
Nah maal o doulat Qaroon, nah fikar Aflatoon

S
abaq mila hai yeh mairaaj mustafa se mujhe
Ke aalam bashriyat ki zad mein hai gurdon

Yeh kayenaat abhi natamam hai shayad
Ke aa rahi hai damaa dam sadaye' Kun Fayakoon '

Ilaaj e aatish Roomi ke soaz mein hai tera
Teri khiirad pay hai ghalib farangion ka Fasoon

Isi ke Faiz se meri nigah hai roshan
Isi ke Faiz se mere subu mein hai Jehoon

Post a Comment

0 Comments