Karen ge ahl e nazar taaza bastiyan abad
In Urdu
کریں گے اہل نظر تازہ بستیاں آباد
مری نگاہ نہیں سوئے کوفہ و بغداد
یہ مدرسہ یہ جواں یہ سرور و رعنائی
انہیں کے دم سے ہے مے خانۂ فرنگ آباد
نہ فلسفی سے نہ ملا سے ہے غرض مجھ کو
یہ دل کی موت وہ اندیشہ و نظر کا فساد
فقیہہ شہر کی تحقیر کیا مجال مری
مگر یہ بات کہ میں ڈھونڈتا ہوں دل کی کشاد
خرید سکتے ہیں دنیا میں عشرت پرویز
خدا کی دین ہے سرمایۂ غم فرہاد
کئے ہیں فاش رموز قلندری میں نے
کہ فکر مدرسہ و خانقاہ ہو آزاد
رشی کے فاقوں سے ٹوٹا نہ برہمن کا طلسم
عصا نہ ہو تو کلیمیؑ ہے کار بے بنیاد
(Bal e Jibreel, Allama Iqbal)
In English Alphabets
Karen ge ahl e nazar taaza bastiyan abad
Meri nigah nahi soye koofa o baghdad
Yeh madrassa yeh jawaan yeh suroor o ranayi
Inhen ke dam se hai me khanah e farang abad
nah falsafi se nah mulla se hai gharz mujh ko
yeh dil ki mout woh andesha o nazar ka fasaad
fiqyah shehar ki tehqeer kya majaal meri
magar yeh baat ke mein dhoondata hon dil ki kushaad
khareed satke hain duniya mein Ishrat e Parvez
khuda ki deen hai sarmaya e gham e farhaad
kiye hain faash Ramooz e qalanadri mein ne
ke fikar e madrassa o khanqah ho azad
rashi ke faqon se toota nah barhaman ka tilsam
aasa nah ho to Kaleemi(A.S) hai kar-e-be bunyaad

0 Comments