Khudi ki shokhi o tundi mein kibar o naz nahi, Allama Iqbal
In Urdu
خودی کی شوخی و تندی میں کبر و ناز نہیں
جو ناز ہو بھی تو بے لذت نیاز نہیں
نگاہ عشق دل زندہ کی تلاش میں ہے
شکار مردہ سزاوار شاہباز نہیں
مری نوا میں نہیں ہے ادائے محبوبی
کہ بانگ صور سرافیل دل نواز نہیں
سوال مے نہ کروں ساقی فرنگ سے میں
کہ یہ طریقہ رندان پاک باز نہیں
ہوئی نہ عام جہاں میں کبھی حکومت عشق
سبب یہ ہے کہ محبت زمانہ ساز نہیں
اک اضطراب مسلسل، غیاب ہو کہ حضور
میں خود کہوں تو مری داستاں دراز نہیں
اگر ہو ذوق تو خلوت میں پڑھ زبور عجم
فغان نیم شبی بے نوائے راز نہیں
(Bal e Jibreel, Allama Iqbal)
Words Meanings
غياب: غائب ہونا
زبور عجم: علامہ اقبال کی کتاب
In English Alphabets
Khudi ki shokhi o tundi mein kibar o naz nahi
Jo naz ho bhi to be lazzat niaz nahi
Nigah e ishq dil zindah ki talaash mein hai
Shikaar murda sazawar shahbaaz nahi
Meri nawa mein nahi hai adaye Mehboobi
Ke bangh e soor e sarafeel dil Nawaz nahi
Sawal me nah karoon saqi e farang se mein
Ke yeh tareeqa randaan pak baz nahi
Hui nah aam jahan mein kabhi hukoomat e ishq
Sabab yeh hai ke mohabbat zamana saaz nahi
Ik iztiraab musalsal, Ghayab ho ke huzoor
Mein khud kahoon to meri dastan daraaz nahi
Agar ho zouq to khalwat mein parh Zaboor e ajam
Fughaan name shabi be nawaye raaz nahi

0 Comments