Kamaal e josh junoo mein raha mein garam tauwaf, Allama Iqbal Poetry| Bal e Jibreel

Allama Iqbal Poetry

Kamaal e josh junoo mein raha mein garam tauwaf, Allama Iqbal Poetry

In Urdu

کمال جوش جنوں میں رہا میں گرم طواف
خدا کا شکر، سلامت رہا حرم کا غلاف

یہ اتفاق مبارک ہو مومنوں کے لیے
کہ یک زباں ہیں فقیہان شہر میرے خلاف

تڑپ رہا ہے فلاطوں میان غیب و حضور
ازل سے اہل خرد کا مقام ہے اعراف

ترے ضمیر پہ جب تک نہ ہو نزول کتاب
گرہ کشا ہے نہ رازی نہ صاحب کشاف

سرور و سوز میں ناپائدار ہے، ورنہ
مے فرنگ کا تہ جرعہ بھی نہیں ناصاف

(Bal e Jibreel, Allama Iqbal)                                                      

In English Alphabets

Kamaal e josh junoo mein raha mein garam tauwaf
Khuda ka shukar, salamat raha haram ka ghilaaf

Yeh ittafaq mubarak ho mominon ke liye
Ke yak zuba hain faqihaan e shehar mere khilaaf

Tarap raha hai Aflatton mayan ghaib o huzoor
Azal se ahal khiirad ka maqam hai airaaf

Tere zameer pay jab tak nah ho nuzool e kitaab
Girah kusha hai nah Razy nah sahib e kashaaf

Suroor o soaz mein napaidaar hai, warna
Maai farang ka teh juraa bhi nahi na saaf

Post a Comment

0 Comments