Haadsa woh jo abhi parda aflaaq mein hai, Allama Iqbal - Bal e Jibreel

Haadsa woh jo abhi parda aflaaq mein hai

Haadsa woh jo abhi parda aflaaq

In Urdu

حادثہ وہ جو ابھی پردہ افلاک میں ہے
عکس اس کا مرے آئینہ ادراک میں ہے

نہ ستارے میں ہے، نے گردش افلاک میں ہے
تیری تقدیر مرے نالہ بے باک میں ہے

یا مری آہ میں کوئی شرر زندہ نہیں
یا ذرا نم ابھی تیرے خس و خاشاک میں ہے

کیا عجب میری نوا ہائے سحر گاہی سے
زندہ ہو جائے وہ آتش کہ تری خاک میں ہے

توڑ ڈالے گی یہی خاک طلسم شب و روز
گرچہ الجھی ہوئی تقدیر کے پیچاک میں ہے

(Bal e Jibreel, Allama Iqbal)                                                             


In English Alphabets

Haadsa woh jo abhi parda aflaaq mein hai
Aqas is ka marey aaina idraak mein hai

Nah setaaray mein hai, ne gardish aflaaq mein hai
Teri taqdeer marey naala be baak mein hai

Ya meri aah mein koi Sharer zindah nahi
Ya zara num abhi tairay khas o khashaak mein hai

Kya ajab meri nawa haae sehar gaahi se
Zindah ho jaye woh aatish ke tri khaak mein hai

Toar daaley gi yahi khaak tilsam shab o roz
Gar cha auljhi hui taqdeer ke pechak mein hai

Post a Comment

0 Comments